HASRATH - Urdu Poetry

"HASRATH"
Dil Tod Ke Tukde Kar Diye Ussne
Pal Bhar Bhi Iss Dil Ko Sambhalne Naa Diya Ussne
Aanaa Hai Uss Me Bohut Yeh Batana Usse
Woh Ab Mile Toh Haal-e-Dil Matt Sunana Usse
Akele Kis Se Utha Hai Taluqaat Ka Bojh
Woh Tumko Naa Yaad Rakhe Bhool Jana Usse
Kabhi Mujhko Sath leke Kabhi Mere Sath Chalke
Woh Badal Gaya Achanak Meri Zindagi Badalke
Hue Jispe Tum Meharban Woh Khushnaseeb Hogi
Meri Hasratein Toh Nikli Meri Aansoun Me Dhalke.

Woh Dil Hi Kya Jo tere Milne Ki Dua Na kare...

Woh dil hi kya jo tere milne
ki dua na kare
Main tujh ko bhool ke zinda
rahoon khuda na kare

Rahe ga pyaar tere saath
zindagi ban kar
yeh aur baat meri
zindagi wafa na kare

Yeh theek hai nahi marta koi
judaii mein
khuda kisi ko kisi se
magar juda na kare

Agar wafa pe bharoosa rahe
na duniya ko
tu koi shakhs muhabbat ke
husla na kare

Suna hai uss ko muhabbat
duaein deti hai
jo dil pe chut khaye
magar gila na kare

Bujha diya hai naseeboon ne
mere pyaar ka chand
koi diya meri palkoon pe
ab jala na kare

Zamana dekh chuka hai
parakh chuka hai usse,
"Qateel" jaan se jaye magar
iltja na kare..!

Main bhuka hoon mohabbat ka Mera kashkol khali hai

Main bhuka hoon mohabbat ka Mera kashkol khali hai
Tumhare husan se kheera mari nazrain sawali hain

Tumhare dar pe beta hoon jahan se hoon main be parwa
Koi thokar khilata hai to koi deta gaali hai

Magar main deet hoon kion keh mujhe tari zaroorat hai
Tere pane ki khaatir nafratain sab jo paali hain

Samaji zulmatoon se chali seenay per hoon main nazan
Fakhar mehsoos karta hoon keh mera eshq misali hai

Suna hai dil se dil ko raah hoti hai mere jaana
Agar sach hai to us rah per pholon ki saig dali hai

Muqayyad tha muqayyad hoon muqayyad hi rahonga main
Qafas dil ka chaman hai aur mera sayyad maali hai

Muttalib-Muqayyad